Thinking you are growing up with an inherited disease that might alter your life upside down, is itself a disaster. We all are living in the 21st century, an era where life is controlled by machines, leaving us doing less physical activity. What we call a sedentary lifestyle. Just grab ur boots and walk along the streets, you will find restaurants and streets filled up with people eating all sorts of unhealthy food, laughing, enjoying their taste buds and life as it's a part of their life that they can't quit. But what they don't see is the tornado growing inside their body which will suddenly be a cause of massive destruction not only for their life but will have a mass effect to the entire family. I am Dr. Shadab and i will enlighten you about your health with some real check boxes. It is a game. Grab a pen and paper and get to know about your lifestyle and habits!! I don't need your answers. It is not a test. Answer and Mark for your ownself! Start...
IF A MAN ACHIEVES WORLDLY SUCCESS AND DOES NOT BLEND INTO HIS LIFE - A PROGRAM OF SELF-IMPROVEMENT TO BRING ABOUT A SENSIBLE BALANCE, HE NO DOUBT WILL END UP AS A FAILURE. - JOHN. H. VANDENBERG
20th April,2020
By Dr. Shadab Kamal
Zaroorat aur khwahish. Khwahishat ka taaluq chahat aur mohabbat se hai jab k zaroorat survival ka doosra naam hai.
Mohobbat se meri murad unsiyat hai. Us ki waja ye hai k ek waqt men insan kayi rishton se ghira hota hai aur sab hi se usay lagao aur unsiyat hoti hai. chunke ye dono anasir zindagi guzarne ki bunyaad hain is liye mere nazdeek zindagi ki ek tareef apnay iradon aur khwahishaat ko poora karne ki koshish ka naam hai jis men kamyabi har shakhs ka darwaza nahi khatkataya karti.
Insaan is dunya men akele aata hai aur is dunya se akele hi jata hai magar is dunya men tanha zindagi nahi guzar sakta. Maa baap behen bhai aur deegar khooni rishton se uska taaluq maa k paet se hi jura hota hai. Ye rishte wo khud nhi bnata balke us k janam lete hi ye us ki zindagi men shamil hjatay hain. Tou na in rishton ka naim ul badal hai na kabhi ho skta hai.
Aap ne umooman suna hga k humsafar milna b qismat k khel hain. beherkaif men asa nhi samajhti. Kia Khudadaad salahiyaton ka hamil insani dimagh apni samajh boojh k mutabiq apne liye ek insan ka tai'yun b sahi nahi karskta? Beherkaif ye ek doosra mudd'ua hai.
Wo insan jis se apki zehni hum aahangi hjaye wo hi apki zindagi men apko apka sab kuch lagne lagta hai aur phr hum usay apne gard o nawa k tehet apni zindagi men shamil krne k faislay mn ya tou kamyab hotay hain ya phr na kaam. Kamyaabi ki soorat mein usi shakhs k sath zindagi ki seerhiyan teh krte krte kayi doosre rishte janam lete hain aur dunya ka nizam yunhi chalta chala jata hai.
Nakami ki soorat men wohi log ya tou apke behtareen dost bn jatay hain ya phr ek yaad. Achi ya buri? Is ka taai'yun wo eendhan krta hai jis ko men dimagh kehti hun.
Khuda taa'la ne insan ko badi khoobsurti se takhleeq kiya hai aur insan us khaliq ki takhleeqat ka sab se haseen aur pur kashish shahkaar hai, har ek insaan doosre se mukhtalif bhi hai aur bazahir ek jaisa bhi.
Is tafreeq ki waja wohi eendhan hai. Ye ek kamra numa shay hai jis men kayi khanay hain. Har ek khanay men ek alag jadooyi potion hai jis ki waja se insan ki soch ka mehwar halaat aur waqiyaat k tehet tabdeel hota rehta hai.
Nakamiyon ki soorat men jazbati jang, udaasi, na umeedi, jaise ehsaasat jisay medical science depression kehti hai. Ye sab us hi jadoyi kamre ki marhoon e minnat hain.
In mushkil marahil se guzarta huwa insan Joon joon dunya mein larkharata, khud ko bachata, apne qadam jamata huwa, apni jaga talaash krta hai wo mukhtalif raaston se guzarta huwa apni shanakht ko ayan krta chala jata hai. Yahi shanakht usay muashray men mojoud logon se mutaarif krwane ka zariya banti hai aur ahiste ahiste wo khud ko muashray men qubool krne lag jata hai. Qubooliyat k is safar pr phnchay tak wo naazuk mor aa jata hai jis par zaroorat janam leti hai.
Yaad rahay Zaroorat ka taaluq khwahishat se nhi hai. khwahishaat aur zarooryaat ki jang mein jeet humesha zarooryat ki hoti hai. Azal se abad tak kayi misaalen mojoud hain k wo shakhs jis ne zarooryat par khwahishat ko tarjeeh di aur zarooryaat se ghafil raha wo apni shanakht ko bigarta chala gaya yahan humen is baat ka andaza bhi hota hai k zindagi ko dekhne ka ek doosra rukh bhi hai. Jahan khwahishat ko poora krne ka naam zindagi hai wahan khwahishat se samjhota karne aur apni ana ko barqarar rakhne ka naam bhi zindagi hi hai.
Ub sawal ye paida hota hai k dunya men survival kis trha mumkin hai?
Muashray men jahan aqal o fehem rakhne walay kayi dimagh mojoud houn wahan tazad ka laazim hona teh shuda baat hai. Yahi waja hai k zindagi ki har seerhi pr charhte huwe jama aur tafreeq ka amal jaari rehta hai.
Mukhtalif zehen mukhtalif kirdaaron yani personalities ko janam dete hain jin k sath hum rehte huwe mukhtalif potions ka istimaal krte hain.
Jin mn mere nazdeek sab se taqatwar potion sabar hai. zamana gawah hai k kisi bhi chez ki zyadati ya kami humesha nuqsan ka ba'is rahi hai. Ye do anasir insan ki zindagi mein us k zehen ki nashonuma k ehem juz hain. Kisi bhi qism ka disproprotion us jadoi kamray mein mojoud potions mn honay walay chemical changes ki waja banta hai. Jis k liye men hormonal instability ka lafz istimaal krn gi.
Kamyaab insan wohi hai jo khud ko tamam tar haalat k mutabiq ek sanchay mn dhaal le magar us ki zindagi men hone wali in tabdeelion k aiwaz jo loss hai wo us ki apni zaat ka ek ehem hissa hota hai. Is trha k insan ko jab khangaal kr dekha jaye, us ki zindagi k safhaat ko palta jaaye tou aqal hairan reh jati hai. Wo ye baat nahi janta hota k us ka aaj us ki zindagi ki asal kamyabi hai. Asay shakhs ko ap sirf shikayaat mn ghira dekhen gay kun k wo samajhta hai k lafz kamyabi apni khwahishaat ko hasil karlene ka naam hai jab k dar haqeeqat wo is baat ko samajhne se aari hai k dunya mein apne simtay huwe wujood k sath survival aur apni shanakht ko barqarar rakhna hi asal dunyawi kaamyabi hai.
Written by: Dr. Shadab Kamal
Keywords: #badaltechehre #zaahirikhol #masnoyimuskurahatian #khwabreezareeza
#kamyabikasafar-khushianbarayefarokht
#jaddojuhad #nashukrainsan